Sponser

Tuesday, July 10, 2018

Hazrat Ali Mafoom | Hazrat Ali Quote in Hindi | Hazrat Ali Hadess in Hindi |

Hazrat Ali Mafoom | Hazrat Ali Quote in Hindi | Hazrat Ali Hadess in Hindi 

Hadees
 sab se bara gunah wo he jo karne walay ki nazar me chota ho.            ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,
 to tum use door se dekh rahe ho,
 Ya phir gharoor se dekh rahe ho
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT
 aisi cheezain hain jin k milnay say log
 badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
 Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai
 jis se tum main ghuroor paida ho jaye”.
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Jub meri DUA kabol ho tu mein khus hota houn
 kyu ki is main meri marzi hai aur
 Jub kabol na ho tu mein aur khus hota houn
 kyu ki  ye ALLAh ki marzi hai
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Hazrat Ali   ne eid k din ro ro k bura haal kar liya.Naye kapre na pehne aur sookhi  roti khane lagey. Kisi ne poocha k aaj to EID hai aap ne koi tayyari nahi ki. Aap ne farmaya k eid to unki hai jinko ALLAH SUBHAN-A-HU-WA TAALA ne muaf kar dia
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 ( Hazrat Ali  KARAM ULLAH WAJHU) Ka Frman Hy:-

 "Bura Dost Aag Ki Manind Hy"
 "Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega"
 "Or Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega"

 ----------------------------------
 Kisi ne Hazrat Ali  KARAM ULLAH WAJHU se poocha:
 "Dost aur bhai main kya farq hai?"
 Aap ne farmaya:
 "Bhai sona hai aur dost heera hai."
 Us aadmi ne kaha:
 "Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?"
 To aap ne farmaya:
 "Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.'     ----------------------------------
 Hazrat Muhammad (S,A.W.W.) ne farmaya
 “Jo shakhs dastar khawan se
 khanay k Giry huy Tukry
 Utha KR Khay Ga
 wo khabi Tang das nahi ho Ga, us ki olad or olad ki olad kam aqli say mehfooz rehti ha”
 REFERENCE
 (Adab-e-Taam.)
 ----------------------------------
 hazrat ali KARAM ULLAH WAJHU ne farmaya
 Jo Tumhari “QADAR” Nahe Krta Tum Uski Aur Bhe Ziada “QADAR” Kro, Qk “ZINDGE” K Kisi Mor Par Use Tumhari “QADAR” Ka “AHSAS” Zaror Hoga
 ----------------------------------
 Hazrat ali KARAM ULLAH WAJHU ne farmaya
 Zindgi main kbi halat k Sath samjhota krna pare tu ghabrana mat

 “Dost”

 Jhukta wohi ha Jis main  Jan hoti ha
 Akarna tu Mudy ki pehchan hoti ha
 ----------------------------------
 hazrat ali KARAM ULLAH WAJHU ne farmaya
 Agar rizq
 aqal-o-danish se milta
 tou jaanwar aur
 bewaqoof zinda hii na
 rehte …i
 ----------------------------------
 hazrat ali KARAM ULLAH WAJHU ne farmaya
 Jahan Sadaaqat Or Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao Warna Tumhari TANHAEE Tumhari Behtreen Saathi Hai.
 ----------------------------------
 hazrat ali ne farmaya
 Aik Shakhs Ne Hazrat Ali  Sey Poocha,
 Q: Qarib Kya Hai?
 A: Qyamat
 Q: Or Qareeb Ter?
 A: Maut
 Q: Ajeeb Kya HAi?
 A: Duniya
 Q: Aur Ajeeb Tar?
 A: Talib-e-Duniya
 Q: Wajib Kya Hai?
 A; Toba
 Q: Or Wajib Tar?
 A: Gunah K Forun Bad Toba
 Q: Mushkil Kya Hai?
 A: Qaber Mein Utrna
 Q: Or Mushkil Tar?
 A: Amal K Bagair Utrna
 ----------------------------------
 hazrat ali ne farmaya
 “Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de”
 ----------------------------------      hazrat ali ne farmaya
 Ye PANJATAN ki Ghulami
 bara SILA degi
 Gulab ki tarah
 Chehra Khila degi
 mat chorna kabhi Daman-e-
 “AHL-E-BAIT”
 Ye Bandagi Tumhain
 MOULA se mila degi
 ----------------------------------
 Hazrat Ali  KARAM ULLAH WAJHU NE FARMAYA,
 ” IKHLAQ KI QEEMAT KUCH NHI DAINE PARTI MAGAR USS SE HR CHEZE KHARIDI JA SAKTI HAI “
 ----------------------------------      imam hussain
 Logon Ki
 Zaroraton Ka
 Tum Se Wabasta
 Hona Tum Per
 Allah Ki
 Enyat Hai.
 (Imam Hussain  )
 ----------------------------------
 hazrat ali KARAM ULLAH WAJHU ne farmaya
 Yeh zindagi 2 din ki hai
 1 din tumharay haq mai aur
 1 din tumharay mukhaalif
 Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.
 ----------------------------------
 Hazrat ali KARAM ULLAH WAJHU ne farmaya
 TUMHARE 3 DOST HAIN
 1 TUMHARA DOST
 2 TUMHARAY DOST KA DOST
 3 TUMHARAY DUSHMAN KA DUSHMAN
 TUMHARAY 3 DUSHMAN HAIN
 1 TUMHARA DUSHMAN
 2 TUMHARAY DUSHMAN KA DOST
 3 TUMHARAY DOST KA DUSHMAN
 ----------------------------------
 Aazmaye Hue Ko Azmana
 Bewakufi He.
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do
 Wo ala zaraf hoa to ap ko or izat day ga
 or kam zaraf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Ksi ko tm chaho or wo tmhy thukra dy,Ye uski Bdnasebi hai,
 Koi tmhy na chahy or tm usy Zbardasti Apna banana chaho,Ye tmhry nafs ki Zilat hai"( Hazrat Ali 
 ----------------------------------
 "Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
 yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta.." ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!
 Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge Or agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Hazrat Ali (  ) Ny Farmaya :
 Jisnay Kisi Ko Akele Mai Nasihat Ki
 Usne Ussay Sanwar Diya Or Jsnay Kisi Ko
 Sab K Samnay Nasihat Ki
 Usne Usko Mazeed Bigaar Diya.
 ----------------------------------
 Hazrat Ali 
 Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye
 Per Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banay
 ----------------------------------
 Hazrat Ali 
 Ibn-e-adam!
 Jab gunahon k bawajood Allah ki naimmatain musalsal tujhe milti rahen tou hoshyaar ho jana, k tera hisaab qareeb aur sakht tareen hai
 ----------------------------------
 Hazrat Ali 
 "Agar ksi ka banna chahte ho tou puri haqeeqat se ban jao
 Warna,apni zaat main aisi haqeeqat paida kr lo
 K koi haqeqat main tumhara ban jaye
 ----------------------------------
 koi GUNAH Lazzat k lye mat karna
 q k Lazat khatam ho jaegi GUNAH baqi rahjaega ,
 Or koi NEKI taklif ki waja se mat chorna q k
 taklif khatam ho jaegi NEKI baqi rahjaege!
 ----------------------------------
 Hazrat Ali
 "Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat, insan ko Dushmnon k dilon main b Mehboob bana deti hai"
 ----------------------------------
 Jab Tum Duniya ki Muflasi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa day kar ALLAH say Tijarat karo. :( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Ansu Us Waqt Muqaddas Hotay Hain,

 Jab Wo kisi Or k Dukh Or TakleeF Ko Mehsus Kr k Niklain...( Hazrat Ali  ).
 ----------------------------------
 Insan dunia ma es qadar mashghol hota ha k usay pata bhi nai chalta k,
 jis kapray se us ka kafan banna ha wo bazar ma aa chuka ha.
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Insan Ka Kirdar Us Ki Zuban K Niche Poshida Hay
 Agar Kisi Shakhs Ke Kirdar Ka Pata Lagana Ho To Usko Sakht Ghuse Ki Halat Main Dekho

 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Zindgi ki Asal khoobsurti
 ye nahin k ap kitne khush hain
 balke zindgi ki asal khoobsurti
 to ye h k doosre aap se kitna khush hain
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Apni sochon ko pani k qatron se zyada shafaf rkho
 Q. k
 jis tarha qatron se darya banta hy ussi tarha sochon se "EMAAN" banta hy
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Farman-e-Ali 

 Jab Aankhain Nafs Ki Passandeeda Chezain Daikhny Lag Jain To Dil Anjaam Sy Andha Ho Jata Hai.
 ----------------------------------
 Jiski nigahain azad ho us ka dil ranjeda hota hy
 Jo baar baar azadana nigah karta hy wo hmesha hasrato main mubtla rehta hy
 ( Hazrat Ali  ).!
 ----------------------------------

 "Zarurat K Liye ALLAH Ko Pukarne Wala 2nu Halton Men ALLAH Ko Chor Deta Ha
 Zarurat Puri Ho Jaye Tab B
 Aur
 Zrurat Puri Na Ho Tab B."
 ----------------------------------
 Hamesha DUA mangte raho
 QK
 Mumkin or Na Mumkin to Sirf Hamari "SOCH" me ha
 ALLAH k lie to kuch bhi Na Mumkin nahi hai
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Her kisi ko itni ahemiyat do jitni wo tum ko daita hai. Ager kum do gay to maghror kehlao gay. Ager zaiyada do gay to khud gir jao gay"

 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 "Aisa bohat Kam hota hai k JALDBAAZ Nuqsaan na Uthayay.
 Or
 Aisa ho hee nahi sakta k SABAR karnay wala NAAKAAM ho." SubhanAllah.

 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Khush mizaaji hamesha khubsoorti ki kami ko poora kr deti ha..

 Lekin khubsoorti khush mizaaji ki kami ko poora nahi kr sakti..."

 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 adaalat Karni Hai To " Mohammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) " Sy Seekh
 Sakhaawat Kerni Hai To " Mola Ali Shar-e-Khud Mushkil Kusha " Sy Seekh
 Ghar Chalana "Fatima" Sy Seekh
 Dushman ko jhukana Hai to " Hassan " Sy Seekh
 Ager Ser Katana Hai To " Hussain " Sy Seekh
 ----------------------------------
 Pait Bhar Kr Khana Na Khao
 Kiun K Ye
  ¤~^DIL KO^~¤
 Sakht Aur
  ¤~^NAMAZ^~¤
 Se Sust Aur
   ¤~^JISM^~¤
 Ko Fassad Bana Deta Hai.

 ----------------------------------
 "Logon ko us tarah maaf kero jese tum khuda se umeed rakhte ho k wo tumhain maaf kare ga"( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Kis tarhan pata lagaya jae k Insan pr aane wali Musibat SAZA hy ya AZMAISH

 To jo Musibat ALLAH sy dur krde wo SAZA or jo QARIB kry wo 'AZMAISH hy

 ----------------------------------
 Allah ta'ala ko hr wqt apny saath samajna afzal tareen imaan hy

 Ta'ajub hy us per jo mout ko haq janta hy aur phir bi hansta hai.
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Agar tum Mout ki Raftar ko Daikh Laity to tum Zaroor Ummeedo"n Or Umango"n Sy Nafrat krty Or hrgiz in Me Maghroor Na hoty
 "
 ----------------------------------
 Hazrat Ali  se kisi ne pocha,agr kisi k ghar ka drwaza bnd kr dia jae or usy tanha chor dia jae to uska rizq kaha se aega?Ap ne frmaya k"jaha se uski mout aegi
 ----------------------------------
 HAZRAT'ALI' 

 Kabi Apne
 'Dost'
 ki sachaai
 ka imtihaan
 mat Lo
 kia pata
 wo waqt
 ke Hathoo
 majboor ho
 or tum aik
 Achhay Dost
 se mehroom
 ho jaow
 ----------------------------------
 FARMAAN-E-HAZRAT ALI  

 "Laakhon ko Dost banana koi bari baat nahi, Bari Baat ye hai ke Aisa Dost banaey jo tumhara SATH us waqt dey jab Laakhon tumharey Mukhalif hon"
 ----------------------------------
 golden Words

 Jab Insan ki AQAL mukammal ho jati hai to us ki GUFTAGU mukhtasar ho jati hai.( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Agar tumhain yaqeen ho jaey k tumhara rizq ALLAH k pas hai to phir rizq ki nahi ALLAH ki talash kero jis k pas tumhara rizq hai"( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Tumhary nafs ki kimat janat hy apny nafs ko kabi is sy kam kimat me na baichna. ( Hazrat Ali  ).
 ----------------------------------
 Hazrat Ali  se poocha gaya

 'Dunia ka sab se ameer (rich) shakhs kaun ha?

 Jawab mila,
 'Dunia ka ameer shakhs woh ha jis ke dost mukhlis hain...'
 ----------------------------------
 KHAMOSH Raho ya Aesi Bat kaho jo KHAMOSHi Sy Behtar ho

 Ay Jawano: Adab k Zariye Apni izat>Or
 ILM K Zariye Apny Deen ki Hifazat kro
 ( Hazrat Ali  )'.
 ----------------------------------
 Logon k dilon mein apna maqam is tarah bana lo k mar jao to tumhare liye royen  or zinda ho to tumhen milna pasand karein.
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Jis ka rabita Allah se ho Wo nakam nahi hota,
 Nakam Wo hota hai jis ki umidain dunia se wabasta hon
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
  1Khalis Dosti aik acha rishta hai
 2 ager tum badshah ho tb bahi apne valid or ustad ke tazeem k lye kharay hojao.
 3 na umeedi say rooh mar jati hau
 4 zuban esa darinda hai jise ageer khula chor dia jaye to phar khaye
 5 neki ka iradah hashar ki aag ko bhujata hai
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 4 Batein Ilam Ka Nichor Hen,
 1 Allah Ki Itni Maqdar Men Ibadat Karo Jitni Miqdar Mein Tuje Khuda Ki Zarorat Hy
 2 Us Ki Nafrmani Utni Karo Jitna To Aag Par Sabar Kr Sakay
 3 Dunia K liye Utna Aml Kro Jitna Tuje Dunia men rehna hy
 4 aakhrat k liye utna aml kro jitna tuje wahan thehrna hy
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Jis darakht ki lakrri naram hogi Uski shakhein ziyada hongi..
 Bus naram tabiyat aur naram guftar ban jaao, ta'k tumharay dost ziyaadaa hon...
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Apni Qismat pr wohi shakhs rota hai jisey "Sajdon" main ronay ki aadat nahi hoti...

 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Mujhy Ibadat me 2 chezein bohat pasand hain

 1: Sard Mosam me Fajar ki Namaz
 2: Garm Mosam me Ramazan k Rozay. ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Dolat Mandi Pardes Ko B " Watan " Jesa Bana Deti Hy
 Or Muflis Apny Hi " Watan " Mein Pardesi Hota Hay
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Qaber 4 Awaz Deti Hai...
 1 Yahan Andhera Hai Roshni Lana.
 2 Me Khaak Hoon Bistar Lana.
 3 Tanhai He Dost Lana.
 4 Sanp Bichoo Hain Dawa Lana.
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------

 Agr Tm Usy Na Pa Sako Jise Tm Chahte Ho,Tu Usy Zror Pa Lena Jo Tmhe Chahta Hy
 QK Chahne Se, Chahe Jane Ka Ehsas Ziada Khubsurat Hota Hy.( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Koshish kro k tm Dunya me raho Dunya tm mein na rahay Q k kashti jb tk pani me rhti hy khub terti hy leikin jb pani kashti me aa jata hy to doob jati hy.( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 GHULAB KA PHOL BNO!KYUNK YEH PHOL US K HATH ME BHI KHUSHBO CHOR DAITA HAI JO ISEY MASAL KAR PHAINK DAITA HAI."( Hazrat Ali  )"
 ----------------------------------
 "Words r under your control until you speak them but you come under their control once you have spoken them"
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Allah k nazdek sab say ziada gunah gar chez jhoot bolnay wali zuban he.
 (( Hazrat Ali  , Nuzhat ul Majalis, page 510)
 ----------------------------------
 Tum acha karo aur zamzna tum ko bura samjhe
 ye tumaray haq main behtar he
 Bajaye es k tum bura karo aur
 zamana tum ko acha samjhe
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Barish ka Qtra Seep or Saanp 2non k Munh mein Girta hai
 Lekin SEEP usay MOTI Aur Saanp usay Zehr bna deta hai
 jis ka jesa Zarf wesi uski Takhliq

 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 3 Insan 3 chezon se mehroom rahenge
 1.Ghusay wala Durust faisly se
 2.Jhoota Izzat se
 3.Jald baaz Kamyabi se.
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Achi zindagi guzar ny k 2 tareeky hain.

 ¤ Jo pasand hain usay hasil kr lo
 ya Phr
 ¤ Jo hasil hain usay pasand kr lo.

 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
  Hazrat Ali  said

 Buray Insaan ki Sohbat se Perhaiz karo kyun kay woh Talwar ki Tarha hey Jo Dekhney mein Khobsorat aur Asar mein Katarnak hey.
 ----------------------------------
 "3 kaam kisi k dil main ap ki izat barhatay hain:

 1- Salam karna.
 2- Kisi ko jagah dena.
 3- ASAL NAM SE PUKARNA."

 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 naikon ki suhbat ikhtiar karo nek ban jao gai, buron ki suhbat se parhaiz karo badi se dor ho jao gai.
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 "Ebadat esi kro jis se tumhari ROH ko maza aey Q k jo Ebadat dunya mai maza na de wo Akhrat mai kia jAZAH degi"... ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 "Insaan dukh nahi detay,insanon se wabasta umeedain dukh deti hein" ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Agr kisi ka ban'na chahtay ho to pori hakeqat se ban jao... warna,apni zaat mn asi hakeqat peda kr lo k koi hakeqat mn tumhara ban jaye...
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Bay shak dunya or akhrat ki misal
 asay ha jasay 1 shaks ki 2 b v ian
 hon 1 ko razi karta ha to dosri roth
 jati ha
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Jab tumhary dil ma kisi k liye nafrat paida honey lagy to foran uski achaiyon ko yaad karny lago
 ( Hazrat Ali  )

 ----------------------------------
 "Golden Words"
 "Her INSAN ki izat aur uss sy mohabat kro,Kion k her INSAN k ander KHUDA ki koi na koi sift zror mojood hoti hai"
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Buaree main kisi ka sath dena Ghatiyapan aur khuda ky sath badiyanti hay.
 ( Hazrat Ali  )

 ----------------------------------
 Apni zuban ki tezi us per mat azmao  jis ne tumhen bolna sekhaya  ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 "2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,
 1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
 2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
 ( Hazrat Ali  )
 ----------------------------------
 Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy,
 Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hy.
 Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us  k Or Qreeb Ho Jata Hy.
 ( Hazrat Ali  

No comments:

Post a Comment